Google Adsense PIN Not Received Hindi, How To Get Adsense PIN?

Google Adsense PIN Not Received Hindi, How To Get Adsense PIN?

Doston Aaj ham baat Karne Wale Hain Google Adsense pin ke bare mein Google AdSense pin bahut jyada important chij hoti hai agar aap YouTube channel chalate ho ya FIR aapka koi website hai aap website par AdSense ka approval Lena chahte ho aapko approval to mil Gaya hai.

lekin uske bad mein most important chij chahie hoti hai ki aapka Jo adsense pin hai vah aapke ghar per pahunch jaye aur aap uska verification kar le to uske bad me aapka Jo Paisa hai vah aapke Bank mein transfer ho jaye. Google AdSense aapko Bina AdSense pin verification kiye hue aapka Jo Paisa hai vah aapke Bank mein transfer nahin karta hai.

to isiliye yah bahut jyada most important chij hoti hai ke aapka Jo adsense pin hai vah aapke ghar ke address per Sahi Se pahunch jaaye, agar Apne AdSense pin ke liye apply kiya hua hai aur aapka adsense pin aapke address per nahin pahunch pa raha hai aapne usko dobara se apply kiya fir bhi nahin pahunch pa raha hai third time apply kiya lekin fir bhi nahin pahunch pa raha hai aur aapko lag raha hai ki maine jo isko apply kiya hai vah main Sahi address dal ke apply kiya hai lekin phir bhi nahi pahuch pa raha??

Google Adsense PIN Not Received Problem Solve?

Google Adsense PIN Not Received Hindi, How To Get Adsense PIN

lekin guys aap address mein hi galti karte ho tabhi aapka Jo AdSense pin hai vah aapke address per nahin pahunch pata hai To aaj ki is post mein main aapko bataunga pura detail mein kaise aapko apne Adsense mein sahi address dalna hai kaise aap apne adsens pin ko Apne Sahi address per Manga sakte ho agar aap apna Sahi address dalte Ho exact jo bhi aapka address hai to aapka adsense pin, 100% aapko mil jayega koi problem nahin hogi yah chij main aapko live dikhaunga tension nahin lena ok.

to guys aapko apne Adsense pin ko Dobara apply karne se pehle apne address me changes Karna hai aise hi aapko dobara aise hi apply nahi karna hai nahi to aapka Adsense pin Dobara bhi nahi milega aapko, to guys aapko address Kaise dalna hai jis se ki aapka adsennse pin aapke adress par pahunch jaye, jo bhi document dekhkar aapane Apne adsence mein address dala hai jaise ki Aadhar card, ya FIR koi aur document jismein aapka address hai us address ko Apne Apne Adsense account me dala hai aapko wo document utha lena hai.

ab aapko karna kiya hai left side me aapko payment ka option dikhega payment ke option par aapko click karna hai aur use baad thoda niche aana hai aur aapko mannage settings ka option milega isi par aapko click karna hai aur uske baad name and adress ka option milega us par aapko click karna hai to aapka saara adress aapko dikhne lagega jo bhi aapne adress dala tha ab aapko is me hi change karna hai aapko sahi se mach karke apne document me jo bhi adress hai wo sahi dalna hai.

sabse pehle aapne jo apna Naam daal rakha hai use to aap change nahin kar paoge kyunki vah verification hone ke bad change nahin hota hai aur na hi usko aapko change karna hai theek hai.

aapko jo bhi kam karna hai apne address line 1 mein karna hai aur address line 2 mein karna hai ab dekho jo bhi aapka document hai aapke document main aapka City aur state aur postal code hota hai jisko ham pincode bhi bolate Hain ye jo chij hai vah aapko address line 1 mein ya FIR address line 2 mein nahi dalna hai. kyunki adsence mein City ka option alag aata hai aur postal code ka alag aata hai aur state ka alag aata hai vah usmein aapko dalna hota hai adress line 1 se iska koi matlab nahi ye hi aap galati karte ho ki aap inko bhi adress line 1 ya 2 me dal dete ho ye aapko nahi karn ahai ok.

address line 1 mein apna kiya adress dalna hai Aadhar Card ke piche mein jo adress hai aapko wo adress dalna hai lekin isme aapko samajhna hai ki isme aapko maine aapko abhi bola ke city aapko city ki jagah dalna hai aur postal code postal code ki jagah aur stae aapko state ki jagah ok. Aadhar Card ke piche mein use address mein apna City chhod dena hai aur state aur postal code kyunki vah Apne usi jagah par dal diya hai jo aapko adsense ne alag se option diya tha.

SUBSCRIBE MY YOUTUBE CHANNEL Watch Video?

address line 1 main aapko Jahan se adress ki starting hoti hai shuru se lekar City Tak aapko vah Sara address jo bhi same hai ek bhi aapko dot miss nahin karna vaise hi aapko Sara type kar dena hai aapki address line 1 mein agar address aapka bada hai to aur aap address line 2 mein dal denge lekin address line 1 me hi agar aapka adress aa jata hai to usme hi dalenge kiyonki yahi most important hai aur address line 2 mein ab aap yahan per apna ek mobile number dal denge Jaise hi aapka Jo AdSense pin hai vah aapke post office main to aapko post office wale contact karke bol denge ki aapka AdSense pin aa chuka hai.

aur maine abhi aapko bola tha ki adress starting se lekar kahaan tak jahaan se city start ho jati hai wahaan tak hi dalna hai yaani aapko city state postal code ye chod dena hai adress line 1 me ya 2 me nahi dalna hai bas isme aapko adress dalna hai aur city aapko city ki jagah postal code postal code ki jagah aur state state ki jagah ok.

ye sab dalne ke baad aapko is adress ko ek baar match kar lena hai jab aapko lage ki sab kuch dsahi hai to aapko submit kar dena hai adress aapka save ho jayega ab aapko Apne adsense pin ko Re-send karna hai Re-sensed karne ke liye aapko verify ke option par click karna hai aur aapko re-send ka option dikhega aapko re-sense kardena hai phir se Re-send karna hai successfully aapka pin dobara se apply ho chuka hai sahi adress ke saath ab aapka adsense pin pahuchne main waise to 2 se 4 week ka time lagta hai lekin is tarike se aapka pin aapko bahut hi jald mil jayega 15 se 20 din ya us se pehle lekin aapko jo adsense ka time hai aapko pura wait karna hai ok aur aapko apne post office me bhi jake maloom karte rehna hai aaya ya nahi aaya thik hai. so I hope ki guys post aapko pasand aaya hai kuchh bhi problem ho to niche se comment karke bol dena.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *